Har vyakti apne haatho ke dwara hi apne sare kaam karta hai, chahe wo ghar ke kaam ho ya bahar ke, ya phir khudki dekh bhaal hi kyun na ho, vyakti sab kuch apne hatho se hi karta hai. Lekin wo apne hatho ki dekh bhaal ke liye kya karta hai? Kayi baar ham khudki dekh bhaal aur care toh karte hain, lekin hamare hathon ki dekh bhaal karna bhool jate hain, jo ki bahut hi jyada jaruri hai.
Dekha jata hai ki log apne chehre ki dekh bhaal ke chakkar me apne hatho ki hatheliyon ka dhyan rakhna bhool jate hain jisse hatheliya kathor ho jati hain aur chune me sakht mehsoos hoti hain. Jyadatar dekhne me aata hai ki log apne chehre ki dekh bhaal aur sundarta badane me jyada ruchi rakhte hai aur is sab me wo apne shareer ke dusre ango jaise, hath aur pair par jyada dhyan nahi dete. Jiska nateeja ye hota hai ki hamare hath aur pair sakht ho jate hain aur unki skin bejaan nazar aati hai.
Waise toh hamare pair bhi bahut jaruri hai, unhe toh ham jaise taise chipa bhi sakte hain lekin hamare hatho ki hatheliyon ko ham nahi chipa sakte hain. Ye sab logon ke samne aate hi hain, sath hi kayi baar jab hum kisi se milte hain toh hame hath bhi milana padta hai aur agar hamare hath pakadne me sakht aur khurdure mehsoos hote hain toh isse hamara impression down ho sakta hai.
Isliye aapko apne haathon ki hatheliyon ka bhi dhyan rakhna chahiye aur unhe narm mulayam banane ke liye kuch karna chahiye. Kin gharelu upaayon dwara aap apne hatho ko gora, komal (soft), narm aur mulayam bana sakte hain sath hi apne hatheliyon ki rangat ko bhi nikhaar sakte hain.
Hatho ko Gora Karne ke Gharelu Nuskhe in Hindi
1) Shehad (Honey):
Shehad ek aisa gharelu utpaad hai jo sabhi ke ghar me asaani se uplabdh ho jata hai aur ye skin ke liye behtareen moisturizer maana jata hai. Chahe hamare chehre ki skin ho ya phir hath pair ki, ye sabhi ke liye laabh kari hota hai. Iske prayog ke liye masle huye aalu (mash potato) me 2-3 chammach shehad aur 4-5 chammach doodh ko mila lijiye, is bane huye paste ko apne hath ki hatheliyon par achchi tarah se lagaye aur 15-20 minute tak rakhe. Iske baad apne hath ki hatheliyon ko dho le, isse aapki hatheliya narm aur mulayam ho jayengi.
You May Like - Face Glow Tips in Hindi: 12 Gharelu Nuskhe Fair Skin Ke Liye
2) Doodh, Nimbu aur Glycerin:
Doodh aur nimbu bhi skin ke liye atyant laabhkari hote hain aur ye hamare ghar me asaani se uplabdh ho sakte hain. Inke prayog ke liye doodh ko ubalne ke baad thanda kar le. Ab is doodh me kuch boonde glycerin ki aur kuch boonde nimbu ke ras ki mila lijiye. Mishran ko achchi tarah se milane ke baad, is bane huye mishran se apne hatho ki achchi tarah se aur araam-araam se malish kariye, isse aapke hath jaroor hi narm aur mulayam ho jayenge. Kisi bhi prayog ke best result ke liye aapko ise niyamit roop se karna hoga.
3) Chopre (Nariyal) ka Tel:
Nariyal ek aisa padarth hai jise khane se hamari skin glow karti hai sath hi iska tel bhi hamare baalon ke liye bahut hi laabhkari hota hai. Wohi jab hamare hatheliyon ki care ki baat aati hai toh nariyal ka tel iske liye bahut hi prabhavi hota hai. Raat ko sone jane se pehle rozana simple nariyal tel se apne hatho ki achche se malish karke soye, kuch hi dino me aap dekhengi ki aapke hath narm, mulayam aur chamakdaar ho gaye hain.
4) Makkhan (Butter):
Ham makkhan ko bread ke sath khana bahut pasand karte hain, lekin kya aap jante hain ki yahi makkhan aapke hath ki hatheliyon ko narm, mulayam aur chamakdaar bana sakta hai. Is akkhan ko aap apne hathon par achchi tarah se laga le aur kuch der rakhne ke baad ise dho le, isse aapke hathon ki twacha mulayam ho jayegi.
5) Malayi aur Haldi:
Malayi bhi aapke hathon ko sundarta pradaan kar sakti hai. Iske liye aap malayi le aur usme chutki bhar haldi mila le aur kuch bunde nimbu ke ras ki daal kar achchi tarah mila le. Is prakaar bane huye mishran ko aap apne hathon par achchi tarah se laga le aur kuch 5-10 minute rakhne ke baad chahen toh ragad kar nikaal de ya phir saade pani se dho le. Isse aapke hathon ki twacha me jaan aa jayegi.
6) Jaitun ka Tel (Olive Oil):
Jaitun ka tel hamari twacha ke liye bahut hi laabhkari hota hai, isliye log na sirf ise apni twacha ke liye istemaal karte hain balki iska prayog log khane me bhi karte hain. Apne hath ki hatheliyon ko narm aur mualayam banane ke liye iska prayog bahut hi achcha hota hai, iske liye aap jetun ka tel apne hatho me lekar achchi tarah se apne hathon ki malish Karen aur tab tak halke hath se malish Karen jab tak ki twacha oil ko sokh na le, malish ke baad kuch der tak oil ko twacha par rehne de, isse twacha oil ko absorb kar legi. Iske baad apne hatho ko dho le.
7) Daliya Bhi Hai Faydemand:
Ham sabhi ye jante hai ki daliya khana sehat ke liye bahut hi faydemand hota hai, lekin kya aap jante hain ki yahi daliya aapke hathon ki khoobsurti badane ke kaam bhi aa sakta hai. Iske liye thoda sa daliya lekar usme glycerin aur olive oil ko achchi tarah se milakar paste bana lete hain, ab is paste ko apne hath ki hatheliyon par laga le aur 15-20 minute tak rehne de. Iske baad gungune pani se apne hathon ko dho liiye. Isse aapke hathon ki skin achchi ho jayegi.
Hatho ko gora karne ke gharelu nuskhe dwara kis tarah apne hathon ko sundar banaya ja sakta hain, toh aap bhi agar apne hathon ko narm aur mulayam banana chahti hain toh hamare dwara bataye gaye in tips ka upyog Karen aur apne hathon ko sundar banaye.
Beauty Tips in Hindi
No comments:
Post a Comment